Skip to main content

Riverdale - The Best College Teen Series?

 To bhaiyo jese m teen series ka kaafi bada vala fan hu, ese hi shayad aap m se kuch log bhi honge aur jo aapme se nhi h unhe m bna dunga kyuki agr koi banda mujhse pooche ki koi esi teen drama series jo kbhi bhi boring nhi lgti to mera saaf jawab hoga "Riverdale". To bhaiyo m jaanta hu ki ye kaafi bdi statement h kiye best h aur m is statement ko poora shi bhi nhi khunga kyuki bhai hr cheez m koi na koi kami hoti h but ye series fir bhi kaafi achhi series m stand krti h. To agr aap bhi jaan na chahte ho ki esa kya h isme to aage ke points pdhke gaand fat jayegi hehehe:-



1. College Stud- To bhai is series m hame real life ki tarah hi kuch college stud milte h jo starting m dekhne m lgta h ki saari series inke around hi revolve kregi but esa nhi ye series hr kisi ko equal importance deti h fir chahe vo chutiya nashedi jesa dikhne vala ho ya barbie doll jesi ldki.



2. Untrustworthy Character- To bhai ye series m kuch hi character h jinpe aap bharosa kr skte ho m kisi ka naam nhi lunga but ye khne se mera mtlb h ki is series ka hero bhi kai baar villain vala kaam kr deta h jese season 5 m kiya. Aur kbhi bhi koi dost peeth m chura ghop skta h to is vjah se iske twist m kaafi mja aata h.

3. Little Magical- To bhai last ke seasons m hum ab guess kr paa rhe h ki series dark to hogi hi but khi na khi thodi magical and superstitious bhi hoti jaa rhi h jo ki aap m se kai logo ko bhot pasand aayega but m abhi ispe neutral hu na hi pasand pe na hi hate pe kyuki series ka season 5 complete hone ke baad hi pata chalega ki series magical hone ke layak h ya nhi.


4. Different From Others- To bhaiyo agr m teen college series ki baat karu to in sab ki stories same milti h jese ek hero hoga vo jo krega vo shi hi hoga pr is series m esa nhi h hum main characters ko bhi galat krte dekhenge aur usi cheez m mja aata h ki ab ye apne kaam theek kese krenge aur hr episode m kuch na kuch mystery aati h kise hmare main leads solve krte h.

Conclusion- To yrr itna hi khunga ki ye series bina dimaag lgaye bs maze krne ke liye agr dekhte ho to bhot mjaa aane vala h aur mene is series ke 5 season bs 13 din m khtm kre kyuki ye apne saath engage rkhti h aur aapko starting m zabardasti nhi dekhni pdti jesa jyadatar series m hota h ki starting m mja nhi aata but is series m starting m hi itna achhe twists aate h ki khud hi engage ho jaati h audience. To bhaiyo aaj ke liye bs itna hi ab kuch galat baat lgi to comment m batao kuch achha lga vo bhi btao aur apne suggestions bhi de skte ho, BYEEE.

Comments

Popular posts from this blog

Why You Need To Watch "The Witcher" ASAP?

To bhaiyo, agar koi series dekhne ke iraade se aaye ho to ye meri guarantee h ki iss blog ko padhne ke baad sidha The Witcher dekhne jaoge kyuki ye series shi m binge watching ke liye bani h. To iss series ko m aapko kyu recommend kr rha hu iske kai reason h but kaafi saare reasons m se jo kuch main h mai unhe btane ki koshish karunga, SO, 1. Henry Cavill- To ha bhai iss series m hamare Superman bhaiya kaam kr rha h lead role m to ye ek kaafi achhi wajah bn jaati h is series ko dekhne ki kyuki bhai koi hollywood superstar kisi bekaar series m kaam krne se to rha. 2. Storyline- To agar aap m se kisine The Witcher franchise ke games khele h ya books pdhi h to aap smjh skte ho ki iski storyline kitni faadu h mtlb is series ko bhi book ke basis pe hi bnaya h but thode se scene change h book se taaki story thodi aur real lage. 3. Unbelievable Action- Is series ka action bhale hi thoda kam lgta h kuch fans ko but jitna bhi hota h kaafi alag h kyuki esa action aapko definitely kisi Marvel ki

"The Witcher" Is Not Original ?

 To bhaiyo jaisa ki aap jaante ho ki mai The Witcher series ka kitna bada fan hu but aaj jab m iss series ki storyline pr dhyaan de rha tha to mai ek baat pe poora hil gya kyuki mene 2021 m ek series dekhi thi jo ki The Witcher se aadhe budget m bani thi But inki stories lgbhag parallel chalti h.To agr aap bhi soch rhe ho ki esi kon si series h jo aapne nhi dekhi to shayad aapne bhi dekhi ho but aapne dhyaan nhi diya hoga , To m baat kr rha hu Disney Plus pe available Star Wars ki series "The Mandalorian" ki aur agr aap abhi meko chutiya smjh rhe ho to ruko mere bhaiyo, M aapko ek ek baat se compare krke aapko believe kraunga ki "The Mandalorian" aur "The Witcher" ek dam same h.  Warning- Agr aapne "The Mandalorian" ya "The Witcher" m se koi si ek series nhi dekhi h to yhi ruk jaao aage bhar bhar ke spoilers h, To isse aage apne risk pe padho. To reasons jinki vajah se "The Mandalorian" aur "The Witcher" similar h :-