Skip to main content

Why You Need To Watch "The Witcher" ASAP?

To bhaiyo, agar koi series dekhne ke iraade se aaye ho to ye meri guarantee h ki iss blog ko padhne ke baad sidha The Witcher dekhne jaoge kyuki ye series shi m binge watching ke liye bani h. To iss series ko m aapko kyu recommend kr rha hu iske kai reason h but kaafi saare reasons m se jo kuch main h mai unhe btane ki koshish karunga, SO,

1. Henry Cavill- To ha bhai iss series m hamare Superman bhaiya kaam kr rha h lead role m to ye ek kaafi achhi wajah bn jaati h is series ko dekhne ki kyuki bhai koi hollywood superstar kisi bekaar series m kaam krne se to rha.

2. Storyline- To agar aap m se kisine The Witcher franchise ke games khele h ya books pdhi h to aap smjh skte ho ki iski storyline kitni faadu h mtlb is series ko bhi book ke basis pe hi bnaya h but thode se scene change h book se taaki story thodi aur real lage.

3. Unbelievable Action- Is series ka action bhale hi thoda kam lgta h kuch fans ko but jitna bhi hota h kaafi alag h kyuki esa action aapko definitely kisi Marvel ki ya koi aur superhero movies m nhi milne vala to ye ek plus point h.

4. Suspense- To bhai mene ye series jb iska season 2 aa gya tb dekhni shuru kri aur 2 din m dono season dekh daale pr tb bhi meko iske season 3 ki kaafi jyada excitement h kyuki bhai iss series ke last episode ke jo cliffhanger hote h vo iss series ko dekhne pe majboor kr dete h aur agr aap iske dono season dekh loge to aap bhi meri trh 3rd season ka wait krne vale ho.




Conclusion- To bhaiyo itne points hi mere dimaag m aa paye but still m esa nhi khunga ki ye duniya ki best series h but ye series fir bhi 2021 ki one of the best series m se h for sure. To recommended to jrur h aur aap bhi iss series ko dekhne ke baad The Witcher franchise m doob jaoge.

Comments

Popular posts from this blog

Riverdale - The Best College Teen Series?

 To bhaiyo jese m teen series ka kaafi bada vala fan hu, ese hi shayad aap m se kuch log bhi honge aur jo aapme se nhi h unhe m bna dunga kyuki agr koi banda mujhse pooche ki koi esi teen drama series jo kbhi bhi boring nhi lgti to mera saaf jawab hoga "Riverdale". To bhaiyo m jaanta hu ki ye kaafi bdi statement h kiye best h aur m is statement ko poora shi bhi nhi khunga kyuki bhai hr cheez m koi na koi kami hoti h but ye series fir bhi kaafi achhi series m stand krti h. To agr aap bhi jaan na chahte ho ki esa kya h isme to aage ke points pdhke gaand fat jayegi hehehe:- 1. College Stud- To bhai is series m hame real life ki tarah hi kuch college stud milte h jo starting m dekhne m lgta h ki saari series inke around hi revolve kregi but esa nhi ye series hr kisi ko equal importance deti h fir chahe vo chutiya nashedi jesa dikhne vala ho ya barbie doll jesi ldki. 2. Untrustworthy Character- To bhai ye series m kuch hi character h jinpe aap bharosa kr skte ho m kisi ka naam nhi

"The Witcher" Is Not Original ?

 To bhaiyo jaisa ki aap jaante ho ki mai The Witcher series ka kitna bada fan hu but aaj jab m iss series ki storyline pr dhyaan de rha tha to mai ek baat pe poora hil gya kyuki mene 2021 m ek series dekhi thi jo ki The Witcher se aadhe budget m bani thi But inki stories lgbhag parallel chalti h.To agr aap bhi soch rhe ho ki esi kon si series h jo aapne nhi dekhi to shayad aapne bhi dekhi ho but aapne dhyaan nhi diya hoga , To m baat kr rha hu Disney Plus pe available Star Wars ki series "The Mandalorian" ki aur agr aap abhi meko chutiya smjh rhe ho to ruko mere bhaiyo, M aapko ek ek baat se compare krke aapko believe kraunga ki "The Mandalorian" aur "The Witcher" ek dam same h.  Warning- Agr aapne "The Mandalorian" ya "The Witcher" m se koi si ek series nhi dekhi h to yhi ruk jaao aage bhar bhar ke spoilers h, To isse aage apne risk pe padho. To reasons jinki vajah se "The Mandalorian" aur "The Witcher" similar h :-